Courses

Har musalman par wajib hai ke wo apni Nabi ﷺ ki seerat ko jaane kyun ke insan se uski qabr mein bhi is talluq se sawal hona hai

Qur’an ko samjhne ke liye Tafseer ka ilm bohat zaroori hai warna ham Qur’an samajh hi nhi sakte aur tafseer bhi wo jo Salaf ne bayan ki ho

Ramadan ke ahkaamo masaail ka ilm haasil karna har musalman ke liye zaroori hai kyun ke Roza Islaam ka 4th rukn hai

Wo insaan apne Rab ko pehchan hi nahi sakta Jo uske naamoun se be khabar ho, Haqeeqat mein insaan ko apne Rab ki pehchan tabhi hasil hoti hai jab wo uske naamoun ke talluq se ilm hasil karle


Isliye ke Aqeedah hi sabse aham hai musalman ki kaamiyabi ka daaromadar aqeedah par hi hai, Aqeedah ki wajh se hi jannato jahannam ka faisla hoga
Aur sabse pehla ilm jo bande par wajib hota hai wo Tawheed ka hi hai
Aur Nabi ﷺ ne sahabaye kiraam ko Qur’an se pehle aqeedah ki t’aleem dee hai

Har namazi aadmi ke liye zaroori hai ke wo namaz ke shuroot aur arkaan aur wajibaat ka ilm hasil kare taake uski namaz mein koi khalal aur Kami waqe na ho, kyun ke Qayamat ke din bande se Tawheed ke baad sabse pehla sawal namaz ke talluq se hoga

Iski ahmiyyat itni hai ke aaj musalmaoun mein jitne firqe hain uska sabse bada reason sahi manhaj ka ilm na hona hai
Har koi Qur’ān wa hadees ka dawa karta hai
Lekin Qur’ān wa hadees ko Salaf ke fahm ke mutabiq nahi samjhta isliye wo ghumrah hai

Deen ko sahi tareeqe se samajhna hai to us zubaan ko samjhna zaroori hai jis zubaan mein deen naazil hua hai
Balke baz ahle ilm ne to isko wajibaat mein qaraar diya hai

Qur’ān ko sahi makhraj aur tajweed wa basic rool se padhna zaroori hai taake Qur’ān ko uske haq ke saath padha jaaye
Qur’ān ke andar makhraj ki gad badi aur harkat ki tabdeeli Qur’ān ke mana ko badal deti hai

Ek insaan ke liye dunya mein isse badh kar koi khush naseebi nahi ho sakti ke wo apne Rab ke kalaam ko apne seene mein mehfooz karle, Qur’ān ka hifz karna baithe sharf wa sa’adat hai