“Har firqa Qur’an aur Hadees ka dawa karta hai, lekin asal farq manhaj ka hai.”
Aaj musalmaan alag alag firqon mein bante nazar aate hain – sab Qur’an o Sunnat ki baat karte hain, lekin har ek ka samajh alag hota hai. Kyun? Kyun ke Salaf-us-Saliheen ke manhaj ko chhod diya gaya hai.
Ye course aapko sikhayega: Deen ko kaise samjhein us tareeqe se jo Allah ke Rasool ﷺ , sahaba, aur unke baad ke behtareen logon ne samjha.
Manhaj kya hota hai?
Manhaj e Salaf kisko kehte hain?
Sahih manhaj ka me’yar kya hai?
Firqon ki paidaish aur unke ghalat manhaj
Qur’an o Sunnat ko samajhne ka asal tareeqa
Sahaba, Tabi’een aur A’imma ka tareeqa kya tha?
Haq ki pehchan aur gumrahi se hifazat
Sirf Qur’an aur Sunnat keh dena kaafi nahi, samajhna bhi unhi ke tareeqe se chahiye – manhaj e Salaf se.
👉 Join karein aur apne deen ki bunyad ko haqq par rakhein.