“Muslim ki kamiyabi ka daar o madar uske aqeedah par hai.”
Agar aqeedah durust na ho, to na amal qubool hota hai, na ibadat ka fayda hota hai. Aqeeda ka matlab hai – Allah, uske Rasool ﷺ , aur deen ke bunyadi aqaid par saheeh aur pak yaqeen rakhna.
Is course mein aap seekhenge ke:
Aqeedah kya hai?
Tawheed ki asal haqeeqat kya hai?
Shirk aur bid’aat se kis tarah bacha jaaye?
Aur kyun yahi ilm sabse pehle aur sabse zaroori hai?
Aqeedah ka ma’ni aur ahmiyat
Tawheed ke qisam (Rububiyyah, Uloohiyyah, Asma wa Sifaat)
Shirk ke nuqsanaat aur kisam
Aqaid ke masail Qur’an aur Sunnat ki roshni mein
Sahaba aur Salaf ka aqeedah
Galat firqon ka rad aur haq ki pehchan
Agar aqeedah saheeh ho, to poora deen behtareen hota hai.
 Aaj hi is zaroori course ka hissa ban kar apne imaan ki bunyad ko mazboot banayein.