“Qur’ān ko sahi makhraj, tajweed aur adaayi ke saath padhna farz hai.”
Noorani Qaaidah Qur’ān ki taleem ka pehla darwaza hai. Ye course un sab ke liye hai jo Qur’ān ko uske haq ke saath padhna chahte hain – jaise Qur’ān naazil hua tha, waise hi ada karein.
Harf-e-Hija ka sahi talafuz
Makhraj – har harf ki asal jagah
Harkaat (zabar, zer, pesh) ka sahi istimaal
Sukoon, tashdeed, madd aur tanween ka tareeqa
Basic Tajweed Rules
Chhoti chhoti suraton ka asaan tareeqe se padhna
Qur’an ke pehle rukn ka tayyari
Noorani Qaaidah sirf ek kitaab nahi, Qur’an seekhne ka pehla aur zaroori darja hai.
Aaj se Qur’an ka safar shuru kijiye – sahi makhraj, tajweed aur talaffuz ke saath.