“Deen ko samajhne ke liye us zubaan ko samajhna zaroori hai jisme Qur’an naazil hua.”
Arabic Grammar sirf zubaan ka dars nahi – ye Qur’an, Hadees, Du’aon aur Shari’ah ko samajhne ka pehla qadam hai. Isi liye kai ahle ilm ne isko deen ka bunyadi hissa aur wajib ilm qarar diya hai.
Is course ka maqsad hai:
Aapko Arabic Grammar ka aisa base dena ke aap Qur’an o Hadees ko lafzi taur par samajhne ke qabil ho jaayein.
Arabic Grammar ka ta’aruf
Ism, Fi’l, Harf – words ki pehchan
Jumla (sentence) ka tarkeeb
I’rab – lafzon ka akhir kyun badalta hai?
Fail ka fail aur maf’ool se ta’alluq
Basic nahw o sarf ke rules
Qur’an ke jumlon ko grammar ki roshni mein samajhna
Arabic Grammar seekhna Qur’an aur Hadees ko zinda dil se mehsoos karne ka raasta hai.
 Is course se apna ilm barhayein, aur Deen ko lafz lafz samajhna shuru karein.