“Qayamat ke din pehla hisaab namaz ka hoga.”
Namaz sirf chand harkat nahi – ye ek mukammal ibadat hai jiska har hissa ek maqsad, ek ehmiyat, aur ek adab rakhta hai. Har Musalman ke liye zaroori hai ke wo namaz ke shuroot (conditions), arkaan (essential parts) aur wajibaat (necessary actions) ka ilm haasil kare.
Is course ka maqsad hai:
Aapki namaz ko sahih, maqbool aur roohani tor par mukammal banana.
Namaz ke shuroot (niyyat, taharat, waqt, qibla, etc.)
Namaz ke farz arkaan (qiyam, rukoo, sajda, tashahhud, etc.)
Wajibaat aur unki tafseel
Sunnat aur nafl ibadat ka adab
Galtiyon ka ilaaj – sujood sahw ka tareeqa
Khushu aur roohaniyat kaise hasil ki jaye namaz mein
Namaz sirf farz nahi – ye Allah se milne ka waseela hai.
👉 Is course ka hissa ban kar us mulaqat ko behtareen banayein.